TUMHE BHULAAU KAISE...?

Kitni karu koshishe bhulaneki tumko,
Kitni bar bhulaau tumhe...
Har koshish naakam ho jati hai meri,
Nahi kar sakta khud se juda tumhe..

Tumhe khush dekhna chahat hai meri..
Tumhare sang rahne ki hai hasrat..
Har lamha tadpta hu tumhare siva..
Ek pal bhi nahi hai dil ko rahat..

Bhale chaho ya na chaho tum mujhe,
Chahe na mano kabhi apna..
Iss zindgi me khuda se bass manga hai tumhe,
Bass tumhe banana chahta hu apna..

Bhulana tumhe nahi hai bass me mere,
Nahi jee sakta mai bin tumhare..
Roj dil kahta hai,
Bohat ho gaya tadpna ab..Jara chain le..
Aur, har bar mai dil ki sunn leta hu..
Par kya karu,dil k aagehar bar haar jata hu.
Kya saanso k bina koi rah sakta hai ?
Jeete jee kya dil dhadkana bhul sakta hai?
Tum dhadkan ho meri,
Tumhise dil dhadkta hai

Comments

Popular posts from this blog

TUJHI AATHVAN KHUP YETE

KAS SANGU TULA

FAKT TUZYA SATHI