Posts

Showing posts from December, 2019

Nirbhaya: A Poem for Change

Image
Kal sabne status rakh ke Apna shok jata dala.  News channel walo ne Details me pura crime dikha dala.  Ab do char din  Sab ki juban pe ye baat hogi Jab tak koi aur nirbhaya Wahshiyon ka shikar nahi hogi.  Phirse wohi tamasha shuru ho jayega Sabke status pe koi naya chehra nazar aayega,  News channels details 'Acting' ke sathe dikhayenge Phir sab shok dikha ke  Apne kaam pe lag jayenge.  Sab kahenge kya karna chahiye 'rapists' ke saath Koi kahega jala do, latka do,  Bum se uda do  Nahi chahiye aisi aulaad.  Ab dikhawa bass karo.  'Victims' ka tamasha band karo.  Lagta hai sab dikhawe me hi khush hai,  Magarmach ke aansu dikhana band karo.  Kyonki,  Saalon bit gaye nirbhaya ko mare,  Aaj bhi samaj wohi hai.  'Rape' karne ke nuskhe TV pe dikhane se Rapes kam honge nahi,  Sirf 'Candle march' nikalne se Badlaav ayega nahi.  Badlaav ayega jab tum dikhave se upar uthake Badloge khud ki soch ko,  Jab loge zimmedaari izzat dene ki Har Nirbhaya har Naziya