Nirbhaya: A Poem for Change

Kal sabne status rakh ke
Apna shok jata dala. 
News channel walo ne
Details me pura crime dikha dala. 
Ab do char din 
Sab ki juban pe ye baat hogi
Jab tak koi aur nirbhaya
Wahshiyon ka shikar nahi hogi. 

Phirse wohi tamasha shuru ho jayega
Sabke status pe koi naya chehra nazar aayega, 
News channels details 'Acting' ke sathe dikhayenge
Phir sab shok dikha ke 
Apne kaam pe lag jayenge. 

Sab kahenge kya karna chahiye 'rapists' ke saath
Koi kahega jala do, latka do, 
Bum se uda do 
Nahi chahiye aisi aulaad. 

Ab dikhawa bass karo. 
'Victims' ka tamasha band karo. 
Lagta hai sab dikhawe me hi khush hai, 
Magarmach ke aansu dikhana band karo. 

Kyonki, 
Saalon bit gaye nirbhaya ko mare, 
Aaj bhi samaj wohi hai. 
'Rape' karne ke nuskhe TV pe dikhane se
Rapes kam honge nahi, 
Sirf 'Candle march' nikalne se
Badlaav ayega nahi. 

Badlaav ayega jab tum dikhave se upar uthake
Badloge khud ki soch ko, 
Jab loge zimmedaari izzat dene ki
Har Nirbhaya har Naziya ko. 
Jab tumhe lage koi behen mushkil me hai
Raksha karna tumhara farz hai, 
Chhedte dikhenge kuch log kabhi
Tab haath jale to jale.. Lado.. 
Ye tumhara farz hai.. 
Jab badlalo khudko, 
Jab doge izzat Har aurat ko, 
Tabhi tu ek mard hai
Tumhe Nirbhaya ka status rakhane ka haq hai.. 

Comments

Popular posts from this blog

TUJHI AATHVAN KHUP YETE

:: - Of the Skin - ::

KAS SANGU TULA